Ajab mausam hain, mere har kadam pe phool rakhta hain,
muhobbat mein muhobbat ka farishta saath chalta hain
Har aasoon mein koin tasveer aksar jhilmilati hain,
tumhe aakehn batayeingi diyo mein kaun jalta hain
jab so jaaoun main, in aakhon par apne hont rakh dena,
yakeen ho jaayega ki palko tale bhi dil dhadakta hain
bahut se kaam ruk jaate hain, main bahar nahi jaata,
tumhari yaad ka lamha kahan taale talta hain
muhobbat gam ki baarish hain, zameen sarsabz hoti hain,
bahut se phool khilte hain jahan baadal barasta hain
parakhna mat, parakne me koin apna nahi rehta,
kisi bhi aaine mein der tak chehra nahi rehta
bade logon se milne mein hamesha faasla rakhna,
jahan dariya samandar se mila, dariya nahi rehta
muhobbat ek khushboo hain, hamesha saath chalti hain,
koin insaan tanhaain mein bhi tanha nahi rehta
tumhara sehar to bilkul naye andaaz wala hain,
hamare sehar mein bhi ab koi hum sa nahi rehta.....
Gar yakeen nahi to aazmaaye mujhe,
wo aaina hain to aaina dikhaye mujhe
ajab charag hoon, din raat jalta rehta hoon,
thak gaya hun main, hawa se kaho ki bujhaye mujhe
main jiski aakhon ka aasoon tha, usne kadra na ki,
bikhar gaya hoon, to ab ret se uthaye mujhe
bahut dino se main in pattharo mein patthar hoon,
koin to aaye zara der tak rulaye mujhe
main chahti hoon ki tum hi mujhe izzazat do,
tumhari tarah se koi gale lagaye mujhe......