this one was written by me after seeing a so called love nest break......may be pessimistic but its heartfelt.......
Har din ki tarah,
ye din bhi dhal jaayega
raat ke kaale saaye mein,
ek diya fir jagmagayega
Matmailisi un raasto par jab chaandni bikhregi,
sach kehta hoon kar lo yekin, yaad tum aaogi
Aaj magar jaati ho jao,
nahi rokunga main(2)
kya karu, sacchai se bandha
khud ko asahai paata hoon main
sirf pyaar hi kaafi nahi jeene ke liye,
aur bhi jarooratein hain insaan ki
Pet ka chulha, tan ka kapda,
aksar jeet jaate hain
jab ladai ho prem, adarsh aur wastavikta ki
Tum nahi mili to kya jee paaunga,
aur mili to kaise nazrein milaunga
tute darpan, naino ki asuwan,
kya inse grihasti sajaunga?
Aaj ka satya yehi hain,
manav ka mulya yehi hain,
jab tak char jun ki roti na ho ghar mein
prem prasang na aaye man mein,
Prem ka kya hain,
aaj hain kal nahi,
Bhuk, tangi, aarthik samasya
jakar bhi jaati nahi
Isiliye fir kehta hoon,
aaj jaati ho to jao
nahi rokunga main,
sacchai se bandha khud ko asahain paata hoon main...