sadak par dekha use....
chikhti hui chillati hui...
majboor hain hum....kya kare?
kisse dil ki guhar kare....
wo jo sunkar sunte nahi...
ya wo jo aankh wale andhe hain
ye duniya hain ajab si....
baste patthar dil insaan yahan...
aasoon ka koi mol nahi...bikte hain jism ke tukde yahan
majboor hain hum....
kya kare....kisse shikwa ..shikayat karen...
Wo jo sunkar sunte nahi......
ya unse jinka imaan nahi...
bhuk se baccha rota hain...
maa ka seena jalta hain...
unko canvas par tasveer bana..
koi wahwahi lut ta hain....
Are koi roti de do ......
bhuk se laal mera marta hain
tumko tumhari duniya mubarak....
mujhko yahan rehna nahi.....
tujhko maan ne se hain inkaar mujhko
tu mera bhagwan nahi......
tu daata kaise nahi....tu...daata kaise ho sakta hain?
baccha mera jeeta nahi ...mujhko maut na aati hain
tu daata hain...to sabko de...
mujhko maut...isko jeevan de...
ki maine duniya dekh li.. isne kuch dekha nahi....
par tu to tu hai...tu koi daata nahi.....
patthar hain tu bhi....patthar se jyaada kuch nahi..
patthar ki is nagri main...patthar hi puje jaate hain...
haar maans ke insaan magar yunh hi maare jaate hain...
isiliye kehti hoon...
mujhko yahan rehna nahi....
tujhko maanne se hain inkaar .....
tu mera bhagwaan nahi....